Siyah
pencil se eyebrow banyein aur brush se inhain hamwar karein.
Eyes: surkh, sabz, zard eye shade aur taiz nile eye shades se guraiz karein kiun keh surkh aur zard eye shades se jild ki pilahat mazeed numayan ho jaye gi. Gaal: gehra gulabi aur peach blusher ke istemaal se chehre par ronaq aati hai. Lips: Aap ke liye chamak dar lipstick behtareen hai. unabi surkhi mayail bhuri lipstick aap ke liye munasib hai. Chikni jild ke liye walu smooth lotion lagane ke baad chehre par powder zarur lagana chahiye. Face powder ka cote chikni jild par siyahi chus ka kaam deta hai. dhoop mein ziadah nahi phirana chahiye. Chehre par Sufaid dhabbe jisam mein protein ki kami ki wajah se par jate hain. In ke liye multivitamin ka istemaal buhat mufeed hoti. Agar aap stick makeup ke istemaal ke baad chehre par chiknahat mehsus karein to powder zarur lagayain, powder ka shade make up ke shade se halka rakhein. Stick blush ke sath koi brush nahi aata jis tarah honton par lipstick lagate hain. Isis tarah blush lagane ke baad roj ki zarurat nahi hoti. Chikni jild ki haamil khawateen ko garmiyon mein moisture qatai istemaal na karna chahiye. Albattah jild ko cleasing milk se achi tarah saaf kar ke sabun aur sadah pani se munh dhoyain phir baraf ke pani ke chinte marein. Chehre khushk kar ke cotton se munh par strangent lagayain. Garmiyon mein pasinah aana lazmi amar hai. lekin baaz khawateen ke chehre par az had pasina aata hai. Din mein kayi bar chehre ko dhoti hain lekin phir bhi afaqah nahi hota . Shadi ya kisi aur taqreeb mein jana ho to yeh hota hai keh idhar make up pasine ke sath beh gia. In khawateen ko vanishing cream nahi lagani chahiye. Aur na kisi qisam ki cream istemaal karni chahiye munh dhone se masamaat khul jate hain. Is liye inhain band karne ke liye stringent ya skin tonic istemaal ki jati hai. agar is se bhi afaqah na ho to wahid ilaaj value smooth lotion jab khushk ho jaye to chehre par saving lotion laga kar powder lagayain. Saving lotion foundation ka kaam dega. Aur make up ziadah der tak qaim rahe ga. Chikni Jild aur Gandumi Rungut: Khawateen ka rung khilta hua gandami hota hai aur masam khule hote hain. Jab who cleansing milk aur skin tonic istemaal karti hain to in ki rungat nikhar jati hai magar jab foundation lagati hain to rungat siyah nazar aati hai balkeh chehre ki banawat pachak jati hai. In khawateen ke liye night cream aur oil of Olay donon noqsan dah hain. Kiun keh yeh donon jild ko chiknayi farahum karti hain. Jab keh in ki jild pehle hi chikni hoti hai. in ko liquid foundation bhi istemaal nahi karni chahiye in ke liye sirf cake foundation mufeed hoti hai. raat ko sone se pehle make up ko cleasing milk se saaf kar ke skin tonic laga lia karein. Is ke baad kisi qisam ki night cream na lagayain. Yeh in ke liye kisi tarah bhi mufeed nahi. Baaz khawateen ke chehre par royain kasrat se hote hain. Make up karti hain to thapta nahi. Make up jild mein rehta nahi. In ko chahite keh royain dur karne wali vax istemaal karein. Market mein is maqsad ke liye mukhtalif vax dastiyab hain. Sohni vex, wander vex, Elizabeth ordon vex, hair of electrode laser. |
0 comments :
Post a Comment